Hindi Poem On Baal Majdoori | Stop Child Labour Poem In Hindi

Hindi Poem On Baal Majdoori | Stop Child Labour Poem In Hindi


Aaj Jab Chinu Ko Hotel Mein Plate Dhote Dekha
Tabhi Apne Bachpan Mein Maine Jhaank Ke Dekha
Roz Naye Chamchamate Bartano Mein
Mujhe Milta Thaa Man Chaha Khana
Nahin Socha Main Kabhi Bhi
Kaise Chamakte Bartan Rozana
Parishram Hota Mere Liye Bas Itna
Apne Bag Ko School Le Jana
Or Dosto Ke Sath
Khelte Khelte Thak Jana
Kaagaj Ke Note Tab Samajh Na Aate
Gullak Main Bas Sikke Chhanchhanate
Fal Mehnat Ka Hota Hai Meetha
Meri Maa Ne Mujhe Sikhaya Tha
Par Mehnat Ka Matlab Bas
Likhna Padna Bataya Tha
Kyon Chintu Ka Bachpan Nahi Bachpan Jaisa
Kaash Na Hota Duniya Mein Koi Baccha Aisa
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...